Bulbul e Darbar e Aala Hazrat wa
Bulbul e Darbar eHuzur Taajush Shariah
Sayyed Kaifi Ali Razavi Sahab
Created By: Junaid Raza
Dhoondte dhoondte is dehr me thak jaoge
Aisa Murshid na zamaane me kahin paoge
Aisa Murshid na zamaane me kahin paoge
Jab kabhi shehre Bareily ki taraf aaoge
Unke Rauze pe Madine ki hawa paoge
Aisa Murshid na zamaane me kahin paoge
Wo wali ibne wali hai sakhi ibne sakhi
Unke darbar se khali na kabhi jaoge
Aisa Murshid na zamaane me kahin paoge
Kya mere ghar ki udaasi na kabhi jayegi
Kya garibon ke yahan ab na kabhi aaoge
Aisa Murshid na zamaane me kahin paoge
Meri roti hui aankhon ne pukara hai tumhe.
Aye mere Shaikh mere khwab me kab aaoge
Aisa Murshid na zamaane me kahin paoge
Aansuon ab meri aankhon hi me rehna sikho
Daamane TAJUSH'SHARIYAT na kahin paoge
Aisa Murshid na zamaane me kahin paoge
Aansuon ab meri aankhon hi me rehna sikho
Daamane MUFTI e AAZAM na kahin paoge
Aisa Murshid na zamaane me kahin paoge
Kaun sunta hai yahan Raaz fugaane darvesh
Dil e betaab liye kis ki taraf jaaoge