SAWANEH ALA HAZRAT رضی اللہ عنہ
Mujadadeen Ki Fahrist
1-Paheli Sadi Ke Mujaddid Khulfaye
Rashid Hazrat Umr bin Abdul Azeez ( 09
hijri paidaish 101 hijri wafat) Hai. 2-Dusri Sadi ke Mujaddid
Imam-e-shafaee, va Sayyiduna Hasan bin ziyad haiñ, 3-Teesri Sadi Ke
mujaddid Qazi Abul Abbas Sharhe Shafaee, Imam Abdul Hasan Ash’ari aur Muhammed
Bin jareer tibri hai haiñ 4-Chauthi sadi ke mujaddid Imam Abu Bakar bin
baaqlani, va Imam Abu Hamid Asfirayeni haiñ 5-Panchvi sadi ke mujaddid
Qazi Fakhruddin hanfi, va Imam Muhammed Bin Ghazali haiñ 6-Chatthi sadi
ke mujaddid Imam Fakhruddin Razi Hai 7-Satvi sadi ke mujaddid Imam Taqi
Uddin bin Daqeeq Al Aeed haiñ 8-Anthvi sadi ke mujaddid Imam Dain Uddin
Iraqi, Allama Shams Uddin Jazri aur
Allama Siraaj Uddin Bilqeeni haiñ 9- Nauvvi sadi ke mujaddid Imam
Jalaluddin Suyuti aur Allama Shams Uddin Sakhaavi haiñ 10-Dasvi sadi ke
mujaddid Imam Shahbuddin Rumli aur Mulla Ali Qari haiñ 11-Gayyahvi sadi
ke mujaddid Imame Rabbani Hazrat Sheikh Ahmed Sirhindi, Hazrat sheikhe Muhaqqiq
Maulana Shah Abdul Haq Muhaddise Dehlvi, aur Hazrat Allama Meer Abdul Wahid
Bilgirami (musannif saba'e sanabil shareef) haiñ 12-Barvi sadi ke
mujaddid ShahanShahe Hindustañ Abul Muzaffar Muhiyoddin Aurangzeb Bahadur
Alamgeer Badshah Ghazi, Hazrat Sayyid Shah Kaleem Ullah Chishti Dehlvi, Hazrat
Sheikh Ghulam Naqsh Bandi Lakhnavi, aur Hazrat Qazi Mahboob Ullah Bihari Haiñ
(Razi Allahu TA’ala Alaihim Ajmaeen)..
Akhir zamana ya'ani 1338 hijri,
1339 hijri me Ali Biradraan aur inke Humnumaoñ ne nihayat
zoor o shoor se Tahreek-e-Khilafat ke naam par ek aisa khaufnaak fitna
khada kiya jisne jumla badmazhaboñ, munafiko, murtaddo, aur khule Kafiro sab ko
apne andar samet liya aur haq o batil Islam wa Kufr ka imtiyaz mita dena
chaha..
Waqiyah kuch yuñ hai ke chand
duniya daar aur garz parast hindustan ke badshah banne ki tam'a me uth khade
huve aur Aam Musalmano ka rukh apni janib modhne ke liye apni tahreek me
khilafat ka mazhabi rang bhara jiski wajah se Musalman Aañkh band karke inki
tahreek me ghus padhe aur ba'az Ulama aur mashaikh bhi masnav'ee khilafat ke
sabz baagh par farefta hokar us fitne ka shikar ho gaye Tahreek-e-Khilafat ko
masboot karne ke ba'ad uske leadaroñ aur maulviyoñ ne aise aise fitne barpa
kiye jin ke bayan se qalam qasir hai..
In Garz parastoñ ne apni tahreek ka naam “Khilafate-e-Islamiyah”
Rakkha laikin husoole Sultanat ke nashe me kuch is tarah mad hoosh huve ke haq
o batil ki tameez hi uthadi Islami qawaneen ke todhne, Shara'ee Ahkam ke
kuchalne aur deeni nishanat ke mita ne me khule kafiroñ se bhi bahot aage badh
gaye us waqt Ala Hazrat رضی اللہ عنہ ki Ek
Zaat-e-Giraami thi jis ne In Fitno ka jam kar muqabla kiya aur unke Radd wa
Tarad me Ishteharaat par Ishteharaat Shaya'a farmaye aur inki
khilafe Shar'e batoñ ko manzare Aam par lakar musalmano ko us haulnak fitne se
bachaya yahañ tak ke Akhir me Risala Mubarakah
“Al Muhajjatul Mautamunnah Fil Ayatul Mumtahinnah”
shaya'a farmakar doodh ka doodh pani ka pani kar diya aur theek dopaher ke
aftab ki tarha haq ko wazeh aur Ashkar kar diya jiske nateeje me bahot se
Ulamaye kiram Tahreek se Bezaar ho kar Alaidah ho gaye Tahreek-e-khilafat ke
fitnaye Azeem hone ka Andazah is baat se kiya ja sakta hai ke Firangi Mahel
ke Maulana Abdul Baari Sahab Lakhnavi ne ek khule Gair Muslim ko
apna Peshwa mahez is liye bana Rakkha tha ke wo Gair Muslim Apni Chalaki
se naam nihaad Tahreek-e-khilafat ka haami banta tha. Maulvi Abdul Baari Sahab
ne Tahreek-e-khilafat ki himayat me jahañ aur bahot se kufriyat likhne ka
wabaal apne sar liya tha, wahi ye bhi saaf likh diya ke maine to is Gair Muslim
But Parst ko Apna Rahnuma banaliya hai mai wahi manta huñ jo ye kahte hai,
Mera Haal sare dast is sher ke muwafiq hai,
Umre
ke ba Ayat wa Ahdeese guzasht
Rafte wa nisaar
but paraste karde
Alhumdolilahi Ta'ala ke Mualan
Abdul baari sahab Alaihir Rahma ne apne aqwale kufriya se tauba wa bezaari
ka Aailan kiya, jisse khilafat waloñ ki ilmi Quwwat wa shaukat jaati rahi hañ
duniya ki lalach me Bahot se matlab parast musalman Tahreek-e-khilafat se
chimte rahe magar haq to sab par wazeh ho kar raha..
Ali
biradraan se murad Maulvi Muhammed Ali jauhar wa Maulana Shaukat Ali
Sahab Leadraane Khilafat haiñ in Hazraat ne siyasat ke haulnaak sailaab me
bahte huve mushrik nawazi wa shayere deen ki pamali me koi kasar utha na rakkhi
thi naam nihad khilafat ke nashe me is qadr makhmoor the ke mushrikana af'aal
anjam dene aur kufri aqwaal bolne me shara'ee hudood ko paar kar chuke the
laikin bariwayat Hakeem Maulana Sayyed Ghulam Moinoddin Sahab Naeemi
Maula Ta'ala ne karam farmaya ke in dono bhaiyoñ ko awakhir umr me tauba naseeb
ho gayi..
Maulana Mausoof ne apni muratta kitab “Hayate Sadrul
Afazil Safa 74” me in hazraat ki tauba ka waqi'a tafseel se likhha hai
jiska hasil kalam ye hai ke Maulana Muhammed Ali Jauhar Marhoom ke
safare london se pahele Hazrat Sadrul Afazil Maulana Naeem Uddin
Muradabadi Alaihir Rahma Itmame hujjat aur khaufe Aakhirat se hoshyar karne
ke liye Maulana Marhoom ke makan par dehli tashreef le gaye aur inko
Islami Ahkaam se Raushnaaz karaate huve Aakhirat ke Azab se daraya. Maulana
Marhoom Hazrat Sadrul Afazil ki tableeghe haq se mutaasir hoye aur Hazrat ko
gawah bana kar unho ne tauba ki Aur Maulana Shaukat Ali Marhoom ne bhi Muradabad
Aa kar Hazrat Sadrul Afazil Quddisa
sirho ke daste haq parast par tauba ki aur apni Aakhirat sawañri Aur jab dono
ki tauba ki ittela'a ek Alime deen de raha hai to ab du'a ye hai ke maula
ta'ala unke zilaal wa mu'asiyat ko muaf farmaye laikin ye log apni tahreer wa
taqreer ka jo haulnak fitna ummat ke darmiyaan phaila gaye haiñ uske khilaf
Ahtejaaj qayamat ki subh tak rahe ga...
In Sha Allah