Muqtadi ki Chaar Qisme Hain...
(1) MUDRIK (مدرک(
(2) LAHIQ (الحق(
(3) MASBOOQ (مسبوق(
(4) LAHIQ-E-MASBOOQ (مسبوق الحق(
(1) MUDRIK:- Mudrik Use Kahte Hai Jis Ne Awwal Raka'at Se Tashahhud Tak
Imam Ke Saath Padhi Agar Che Paheli Raka'at Me Imam Ke Saath Ruku'a Hi Me
Shareek Huva Ho...
(2) LAHIQ:- Lahiq Wo Ki Imam Ke Saath Paheli Raka'at Me Iqteda Ki Magar
Ba'ad-e-Iqteda Iski Kul Raka'at Ya Ba'az Faut Ho Gayi Khuah Uzr Se Ho Jaise
Ghaflat Ya Bheedh Ki Wajah Se Ruku'a Sujood Karne Na Paya Namaaz Me Ise
Hadas(Jin Cheezo Se Wuzoo Toot Ta Hai) Ho Gaya Ya Muqeem Ne Musafir Ke
Peeche Iqteda Ki Ya Namaaze Khauf Me Pahele Giraoh Ko Jo Raka'at Imam Ke
Saath Na Mili Khuah Bila Uzr Faut Ho, Jaise Imam Se Pahele Ruku'a Sujood Kar
Liya Phir Iska E'adah Bhi Na Kiya To Ab Imam Ki Dusri Raka'at Is Ki Paheli
Raka'at Hogi, Teesri Doosri Hogi, Aur Chauthi Teesri Hogi, Aur Akhir Me Ek Raka'at Padhni Hogi...
(3) MASBOOQ:- Masbooq Wo Hai Ki Imam Ki Ba'az Raka'atein Padhne Ke Ba'ad
Shamil Hova Aur Akhir Tak Shamil Raha...
(4) LAHIQ-E-MASBOOQ:- Lahiq-e-masbooq Wo Hai Jis Ki Kuch Raka'atein
Shuru'a Ki Na Mile, Phir Wo Shamil Hone Ke Ba'ad Lahiq Ho Gaya...
Bahar-e-Shariat, Jild Awwal, Hissa Suwwum(Teesra), Muqtadi Ke Aqsaam wa Ahkaam